2017

2016

2015

2014

Home » March 2013
DBMS की बेवफाई




वो Dbms पढ़ा रहे थे,
हम उन्हें देख रहे थे,
वो लग रही थी,
Database के record जैसी,
मुझे बनना था,
उस record की primary key,
उनकी आँखों की table से,
मेरे दिल की table में,
एक अजीब सा नशा,

राजनीति से परे युवा


                              “आजकल के युवाओं को राजनीति से नफरत है, लेकिन राजनीति ही किसी देश का भविष्य तय करती है-चाणक्य| क्या यह पूर्णतया: सच हैं? सच ही होगा, आखिर चाणक्य जैसा इतना बड़ा विद्वान् गलत कैसे कह सकता हैं| सिर्फ चाणक्य ही नहीं बहुतो के मुंह से आपने यह सुना होगा| इसका सीधा तात्पर्य यह हुआ की देश का भविष्य इसलिए अँधेरे की और बढ़ रहा है क्यूंकि कोई भी युवा राजनीति में दिलचस्पी नही दिखा रहा और कोई दिखा भी रहा हैं तो सिर्फ कॉलेज-यूनिवर्सिटी चुनाव तक, फिर हर कोई यहीं कहता हैं की राजनीति एक गन्दा कीचड़ हैं, भाई पैर मत घुसैयो| 
        कोई डॉक्टर बनना चाहता हैं, कोई इंजीनियर, कोई शिशक, पर जब बात राजनीति की आए सब युवा पीछे हट जाते है| वर्तमान में ८५-९०% से ज्यादा नेता सीनियर सिटीजन की टिकट के साथ देश की गाड़ी चला रहे हैं| आखिर क्यूँ? चाणक्य की बात पर तो हर कोई अमल कर लेता हैं, पर बेवजह युवाओं को कठगरे में खड़ा करना भी कहाँ तक जायज हैं? मैं आपको अपनी एक छोटी सी घटना सुनाता हूँ, फिर शायद आप युवाओं पे दोष मढने से पीछे हटे| 
         मैं हर रोज की तरह उस दिन भी जोधपुर की रेलवे कॉलोनी के हनुमान मंदिर जा रहा था| मेरी नजरे सामने कम, अपने मोबाइल में ज्यादा थी, जो आज के हर नौजवान में यह खूबी

Jee, Jaise Aap ki Marzi...!!!


                                              Koi bhi lekhak kuch bhi likhne se pahle yehi sochta hai ki kaha se shuruaat karu, lekin main yeh soch raha hu ki kahan se shuruaat naa karu. Director Dr. Vikas Kapoor ne khoobsurat patkatha ko kirdaaro me utaarkar apne behatreen nirdeshan ke bal par ek aisa chalchitra prastut kiya ki, mere shabd unke pratibha ke sath nyay nhi kar paane ke dar se katra rahe hai. Fir bhi ek choti si koshish….
                                              “jee, jaise aap ki marzi…!!!”, ek aisa naatak jo sirf samaaj ko yeh nhi sikhaata ki naari ke sath kaisa vyavahaar kiya jaaye, kyunki yeh kaam toh bahut log karte the, kar rahe hai aur karte rahenge. Lekin fir bhi halaat nhi badal rahe hai, kyunki agar aap vaastav mein kuch badlna chaahte hai toh ek nayi soch logo tak pahunchaane padegi, kyunki badlte waqt ke sath badlaav jaruri hai. Kisi bhi chauraahe pe khada thele waala, har roz apne ek hi tarike se graahak ko apni aur khinchna chaahta hai aur fir bhi who safal nhin ho paata, toh use sirf ek cheeze ki jarurat hai aur who hai badlaav ki.
                                               Yeh ek nayi soch bhara naatak hai jisme yeh bataane ki koshish ki hai ki naari ke saath accha vyavahaar karne se hi kuch nhi badlega, badlna toh khud naari ko hi padega, kyunki naari ki asli kamjori khud naari hai. Naatak ke charo kirdaar Deepa Rai, Varsha Pote, Bublee Tondon aur sabse khoobsurat abhinay wala kirdaar Sultana.
                                                Deepa, 11-12 saal ki tedhe-medhe daant waali cute girl, jisne apne maasumiyat bhare abhinay se bilkul dabangg style mein naatak ki shuraat ki, us nanhi si jaan ko uski daadi andheri kothri mein band kar de aur who bechaari darr se tadpati reh yaa fir uski behan ko free railway hospital mein admit kiya gaya,  jahan uski maut ho jaati hai, toh uska jimmedaar kaun?. Agar aap soch rahe ho ki daadi, uske pita, uska bhai, toh main iss baat ko seere se nakaarta hu.  Miss Pratibhaji ne bhi apni speech mein bhi yehi kahan ki ek aurat, ek aurat ke sath aisa kaise kar sakti hai, lekin meri najar mein Deepa aur uski behan ka koi asli gunahgaar tha toh who thi uski maa. Uski maa ne Deepa ke haq mein aawaj nhi uthaayi toh uska khaamiyaza apni badi beti ke maut se bhugatna pada.


                                               Varsha, jisne vyask ladki ka kirdaar nibhaaya hai, who apne chehre