Firstly happy new year to all of u.
                                                     Tanuj(20’, cute) 31st ko apne mauhalle ke chauraahe pe akela baitha tha. Wo apni gardan neeche kar ke zameen ko ghur raha tha. Raat ki takariban 11:30 baj rahi thi. Chaaro taraf shanti hi shanti chaayi huyi thi. Dur dur tak kisi kutte ke bhokne ki aawaj bhi nhi sunaayi pad rahi thi, shayad wo bhi kisi kaune mein talli hokar pade ho. Tanuj ke sabhi friends sharaab ki party karne farm-house gaye huye the. Tanuj ko sharaab se nafrat hai so usne sath chalne se mana kar diya.
                                                                                                                Tabhi uss chauraahe se ek sharaabi gujarta hai, nashe mein chur, aankhe ekdum lal, bikhare huye baal, ladkhadaati pair. Tanuj ko sharaab ki badbu ka ehsaas hote hi apni gardan upper karke sharaabi ki taraf dekhta hai. Achanak sharaabi ki najar bhi tanuj pe padti hai, tanuj ki najre toh pahle se hi uss par tiki huyi thi. Tanuj ko dekhte hi sharaabi apne ladkhadaate kadam rokta hai. Dono ek dusre ko ghurna shuru karte hai.
Sharaabi - (ladkhadaate huye) kaun hai abe tu?
Tanuj – (kadak aawaj mein) tera baap.
Sharaabi dheere dheere ladkhadaate huye kadamo se tanuj ki taraf badhta hai. Tanuj apni taraf aate uss sharaabi ko ghure jaa raha hai. Sharaabi tanuj ke saamne jaakar khada hota hai. Badbu aur badh jaane se tanuj apni naak pe hath rakhta hai.
sharaabi – (in rowedy voice) ab bol kaun hai tu?
Tanuj – (tough expression) bola na tera baap.
Sharaabi – (ladkhadaate huye) baap hai toh biwi baccho ka khyaal rakh na, baahar akela kya kar raha hai?
Tanuj – (with smiling) wo hi toh kar raha hu, mera ek beta abhi tak ghar nhi lauta toh uski raah dekh raha tha.
Sharaabi – kaun main?
Tanuj – (with cute expression) aap toh mere bade bhai jaise ho.
Bade bhai word sunte hi sharaabi, tanuj se lapat jaata hai aur jor jor se rone lagta hai. Tanuj ek dum shocked ho jaata hai. Use kuch samajh mein nhi aata hai ki aakhir yeh ho kya rha hai. Wo gusse mein sharaabi ko apne se alag karta hai aur apni jagah se khada hota hai. Sharaabi rona band karta hai aur apni aankhen paunchta hai. Uski royi si shakl dekh ke tanuj ka gussa chu-mantar ho jaata hai.
Tanuj – (sympathetic jataate huye) kya hua aap ro kyun rahe ho?
Sharaabi – (ruli si aawaj mein) pura saal beet gaya, par pehli baar kisine mujhe itni izzat di hai, pure saal main gum me duba raha hai par kisine bhi mujhse itne pyar se baat nhi ki.
Tanuj – aao mere paas baitho.
Dono baith the hai.
Tanuj – koi tume izzat kaise dege, jab tum itni shraab peeye huye rehte ho.
Sharaabi – pure saal itna gum mila ki gum mitaane ke liye peena hi pada mere chote bhai.
 Tanuj – aisa kya hua aapke sath?
Sharaabi – pichli 31st ko naye saal ke jashn me bahut jyada pee li thi, road pe chikhta chilaata ghum rha tha, achanak police waha gasht karte huye aa gyi aur mera naya saal jail se shuru hua.
Aur fir rone lagta hai. Tanuj uske kandhe pe hath rakh ke dilaasa deta hai.
Tanuj – aur?
Sharaabi – (aankhen paunchte huye) ek din mere friend ki annivarsary thi so usne party di. Der raat shraab ke nashe me dhut ghar pahuncha, toh biwi bhajan sunaane lagi, toh diye do kaan ke neeche. Agli subah wo mujhe akela chodkar baccho ko lekar apne maayke chali gyi.
Sharaabi fir se rone lagta hai aur tanuj dubaara uske kandhe pe hath rakhkar dilaasa deta hai.
Tanuj – aur kya hua?
Sharaabi – (aankhen paunchte huye) biwi ka gum me bahut peene laga, kya din, kya raat, bas peena hi peena. Ek din peekar office gaya toh waha pe boss se badatmeezise baat ki toh usne mujhe naukri se nikaal diya.
aur jor jor se rote huye tanuj se laipat jaata hai. Tanuj apni naak pe hath rakhte huye use khud se dur karta hai.

Tanuj – aur?
Sharaabi – aur kya bas aaj bhi in saare gumo ko bhulaane ke liye thodi pee li.
tanuj gehri soch bhari nigaaho se aasmaan ki taraf dekhta hai aur uss sharaabi se kuch kehne hi waala hota hai ki use police ki gaadi ke siran ki aawaj sunayi deti hai. Aawaj sunte hi tanuj uss sharaabi ko waha akela chodkar apne ghar ki taraf bhaag jaata hai. Sharaabi peeche se chilaata hai.
Sharaabi – abe mere chote bhai kaha bhaag raha hai. Yeh bhi mujhe akela chodkar chala gaya.
Aur jor jor se rone chikhane chilaane lagta hai. Bhagwaan ko gaaliya dene lagta hai.
Tanuj apne ghar ke baraamde me jaakar rukta hai. Chauraahe pe police ki gaadi aakar rukti hai. two policeman gaadi se utarte hai.
Sharaabi unhe dekhte hi chup ho jaata hai aur apni jagah se khada hokar salaam karta hai.
Policeman1 – (in angry)bhutni ke! Kyun chilla raha hai.
Sharaabi thoda ladkhadaane lagta hai, par koi jawab nhi deta.
Policeman – (in angry) peeta 250 gram hai aur chilaata 1 kg jitna.
Sharaabi – (ladkhadaate huye) saahab mere ego ko hurt nhi karne ka, puri do bottel pee hai maine.
Policeman sharaabi ke kaan ke niche bajaata hai. Tanuj apne barmaade se chup chup ke saara maajra dekh raha tha.
Policeman – ego..thaane chal saara ego set karta hu naye saal me.
Iss saal ki starting bhi uss sharaabi ki jail me hone waali thi. Police use gaadi me bithati hai aur waha se chali jaati hai. Aasmaan me aatishbaaji ka daur shuru hota hai. 2013 ka aagaman hota hai. Tanuj aasmaan ki taraf dekhta hai..
Tanuj – (with smile) happy new year.
Itna kehkar wo apne ghar ke bheetar chala jaata hai aur almaari se ek diary nikaalta hai, 2013 ki, january 1st  page pe wo likhta hai “ waah re insaan! Tu bhi aajkal gajab ki cheeze hai,  jis sharaab ne tujhe gum diya usi se apna gum dur kar rha hai”.