Firstly
happy new year to all of u.
Tanuj(20’, cute) 31st
ko apne mauhalle ke chauraahe pe akela baitha tha. Wo apni gardan neeche kar ke
zameen ko ghur raha tha. Raat ki takariban 11:30 baj rahi thi. Chaaro taraf
shanti hi shanti chaayi huyi thi. Dur dur tak kisi kutte ke bhokne ki aawaj bhi
nhi sunaayi pad rahi thi, shayad wo bhi kisi kaune mein talli hokar pade ho. Tanuj
ke sabhi friends sharaab ki party karne farm-house gaye huye the. Tanuj ko
sharaab se nafrat hai so usne sath chalne se mana kar diya.
Tabhi uss chauraahe se
ek sharaabi gujarta hai, nashe mein chur, aankhe ekdum lal, bikhare huye baal,
ladkhadaati pair. Tanuj ko sharaab ki badbu ka ehsaas hote hi apni gardan upper
karke sharaabi ki taraf dekhta hai. Achanak sharaabi ki najar bhi tanuj pe
padti hai, tanuj ki najre toh pahle se hi uss par tiki huyi thi. Tanuj ko
dekhte hi sharaabi apne ladkhadaate kadam rokta hai. Dono ek dusre ko ghurna
shuru karte hai.
Sharaabi - (ladkhadaate
huye) kaun hai abe tu?
Tanuj – (kadak
aawaj mein) tera baap.
Sharaabi
dheere dheere ladkhadaate huye kadamo se tanuj ki taraf badhta hai. Tanuj apni
taraf aate uss sharaabi ko ghure jaa raha hai. Sharaabi tanuj ke saamne jaakar
khada hota hai. Badbu aur badh jaane se tanuj apni naak pe hath rakhta hai.
sharaabi – (in
rowedy voice) ab bol kaun hai tu?
Tanuj – (tough
expression) bola na tera baap.
Sharaabi – (ladkhadaate
huye) baap hai toh biwi baccho ka khyaal rakh na, baahar akela kya kar raha
hai?