Maasum si unguliyo se,
 kisi ki unguli pakdna, 
wo naajuk kadmo se ladkhadaana,
 wo chacha ki cycle se mele me jaana,
 yaa wo papa se cursive writing sikhna,
 roj ke paanch lesson yaad karna,
 nhi to fir wo mummy se pitaai,
 wo ghar ghar khelna,
 yaa wo kacchi umar ka romance,
 aaj wo sab yaad aa raha hai,
bas waq bitta jaa raha hai,
 aur manjil ab bhi dur hai......


 Wo class me first aane ke 51 rupees inaam,
wo love letter ka pakda jaana,
 fir school me famous,
 fir chetan ko fansa dena, 
yaa fir mahaveer ka rona,
 fir papa se pitaai, 
roj school me ladaai ladaai khelna,
 chota dekhkar mujhe chod dena,
 wo nemaramji sir ka rob,
 aaj wo sab yaad aa raha hai, 
bas waqt bitta jaa raha hai ,
 aur manjil ab bhi dur hai....

 Wo brijeshji sir ke dialouge,
 ya ek ladki ne jo coller pakda,
 fir usse cycle pe romance,
 wo b'day party ke samose,
 wo gattu bhaiya ki smile,
 to yamin sir ka jukam, 
wo chidiya udd ka khel,
 to wo saurabh ki nagetiv energy,
 yaa har pal uska sath dena,
 wo university merit me rank,
 yaa wo zindagi ki pahli back,
 yaa fir dilo ka tutna, 
aaj wo sab yaad aa raha hai,
 bas waqt bitta jaa raha hai,
 aur manjil ab bhi dur hai....